Aaj ye sochte hain
Kaash keh diya hota -
Agar meri zindagi mein hote to -
Shayad main sambhal jaata.
Waqt rehte unse keh paata to -
Zindagi bhar mauke na talaashta.
Unke khumar-e-mohabbat mein ghulta to -
Ghar ka raasta na bhoolta.
Unko bhulane mein poori zindagi laga di -
Jo pal maine kho diye -
Aaj unka hisab na banata.
Aaj aakhiri khwaish ki mehfil jami hai -
Dhadkane bhi dheemi si ho rahi hai.
Deedar-e-mohabbat hoti to -
Ye phisalta waqt bhi tham jaata.
Main Khuda se ek pal aur maang laata
Shayad unse keh pata -
Agar meri zindagi mein hote to -
Shayad main sambhal jaata.
No comments:
Post a Comment