Suna tha daastaano mein,
Aaj khud ko us haalaat mein paaya;
Dekha jab aapki nighaon mein,
To ishq ke wajood ka ehsaas aaya.
Doobne ki chah thi humein,
Par gehrai ka khayal na aaya;
Khoye aapke suroor mein aise;
Laga kisi ne dhadkano mein sharab milaya.
Karte rahe koshish aarzuon ko chupane ki,
Aapki muskurahaton ne humein reha karaya;
Har lawz utar gaya rooh-e-mohabbat mein,
Aapke ishq ne humein aalim banaya.
Ab hum bhi goom ho jaayein chahne waalon ki qataron mein,
Isi khayal ne humein rom-rom se jagaya;
Thaame dil-e-jazbaat, aankhon mein aapki talaash
Humari deewangi ne humein Aashiq banaya.

No comments:
Post a Comment